sarhad-e-jalwa se jo aage nikal jaegi wo nazar jurm-rasai ki saza paegi chashm-e-saqi na kahin apna bharam kho baithe aur kab tak ye meri pyas ko bahlaegi jo nazar guzri hai tapte hue nazzaron se kya tasawwur ki ghani chhanw mein so jaegi kyun rahen shahr bhi faizan-e-junun se mahrum aql diwanon pe patthar hi to barsaegi hai khizan mausam-e-afsurda-nigahi ka nam bujh gaya shauq to har shakh jhulas jaegi