ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe log makdi ki tarah apne hi jalon mein rahe jism ko aaina dikhlate hain sae warna aadmi ke liye achchha tha ujalon mein rahe waqt se pahle ho kyun zehn pe khurshid ka bojh raat baqi hai abhi chand piyalon mein rahe phir to rahna hi hai ghure ka muqaddar ho kar phul taza hai abhi reshmi baalon mein rahe shauq hi hai to bahar-haal tamasha baniye ye zaruri nahin wo dekhne walon mein rahe ab calendar mein naya dhundiye chehra 'shahid' kab talak ek hi taswir khayalon mein rahe