sari baaten khwab ki tabir se milti to hain meri tahriren teri taswir se milti to hain wo sahar ki dilkashi ho ya shafaq ki surkhiyan kuchh na kuchh ye aap ki taswir se milti to hain ahl-e-sarwat aaj bhi larzan hain jin ke nam se mushkilen wo sab hamein taqdir se milti to hain ye haqiqat hai ayan tarikh ke auraq se zindagi ki rifaten zanjir se milti to hain sar-bulandi kaamyabi rahaten aazadiyan aaj bhi ye jauhar-e-shamshir se milti to hain tishna-lab rakkha tha jis ne asghar-e-masum ko khun ki bunden hamein us tir se milti to hain jin mein 'nusrat' ek muddat hum bhatakte hi rahe zulmaten wo aaj ki tanwir se milti to hain