jo har qadam pe andheron se ladne wale hain hamare sath mohabbat ke wo ujale hain wo jaante hain jo tarikh padhne wale hain hamin ne gardish-e-dauran ke bal nikale hain banae phirte hain hum khud ko khush-libas magar hamare ghar mein abhi makdiyon ke jale hain khulus-o-rabt-o-mohabbat jinhen mayassar hai wo log kaun si duniya ke rahne wale hain dayar-e-ghair mein tum kyun talash karte ho hamare shahr mein kya ahl-e-fan ke lale hain jinhen ye ahl-e-basirat samet lae the wo hadse kisi aashufta sar ne tale hain hazar daur-e-taraqqi ke baad bhi 'nusrat' qadam qadam pe abhi 'mir' ke hawale hain