sari jafaen sare karam yaad aa gae jaise bhi yaad aae hon hum yaad aa gae jab bhi kahin se pyar mila ya khushi mili duniya ke dard-o-ranj-o-alam yaad aa gae dekhin hain jab bhi gul ke qarin chand titliyan kitne khayal-o-khwab baham yaad aa gae likkha tha tum ne khat mein ki tum ne bhula diya kya hadsa hua hai ki hum yaad aa gae pardes mein jo aai nazar nargisi nigah ek ba-wafa ke dida-e-nam yaad aa gae muddat hui hai bichhde hue apne-ap se dekha jo aaj tum ko to hum yaad aa gae suljhain jab bhi zist ki 'saghar' ne gutthiyan nagah teri zulf ke kham yaad aa gae