umr guzri isi maidan ko sar karne mein jo makan hum ko mila tha use ghar karne mein ishq aasan kahan umr guzar jati hai apni jaanib kisi ghafil ki nazar karne mein aazmaish se to be-chaari ghazal bhi guzri ek shahanshah bahadur ko zafar karne mein subh ke baad bhi kuchh logon ki ninden na khulin aur hum tut gae shab ko sahar karne mein lakh dushwar ho dil ko to sukun milta hai zindagi apne tariqe se basar karne mein rang laengi tamannaen zara sabr karo waqt lagta hai duaon ko asar karne mein