sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se jo baat kahni thi un se kahi hai mushkil se na jaane ahl-e-junun par ab aur kya guzre abhi to fasl-e-bahaaran kati hai mushkil se shab-e-firaq na puchho ki kis tarah guzri sahar hui to hai lekin hui hai mushkil se laga hua hai ye dhadka ki bujh na jae kahin hawa mein sham-e-mohabbat jali hai mushkil se kahan thi manzil-e-maqsud apni qismat mein kisi ki rahguzar bhi mili hai mushkil se