apne hamrah jo aate ho idhar se pahle dasht padta hai miyan ishq mein ghar se pahle chal diye uth ke su-e-shahr-e-wafa ku-e-habib puchh lena tha kisi khak-basar se pahle ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha itne tadpe hain na ghabrae na tarse pahle ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal raat dhalti hi nahin chaar pahar se pahle hum kisi dar pe na thitke na kahin dastak di saikdon dar the meri jaan tere dar se pahle chand se aankh mili ji ka ujala jaga hum ko sau bar hui subh sahar se pahle