sarkar-e-do-jahan hain sardar ambiya ke

sarkar-e-do-jahan hain sardar ambiya ke
takhliq ka hain bais mahbub hain khuda ke

mearaj ki thi jo shab parde mein us ne dekhe
raaz-o-niyaz jaise bande ke aur khuda ke

midhat unhin ki lab pe jari rahe hamesha
honton tak aa gae hain kuchh lafz ye dua ke

wo amn-o-ashati ka paigham le ke aae
sar-basta raaz khole allah ki raza ke

insaniyat ko jina sikhla diya unhin ne
batla diye qarine insan ko baqa ke

maut aur zindagi ke matlab badal diye hain
aal-e-nabi ne jaise karb-o-bala mein aa ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close