saron pe bijli giri tar thartharane lage

saron pe bijli giri tar thartharane lage
magar ye git nai nasl ko suhane lage

hum apne sard sawalon pe zard hain aur aap
jawab ban nahin paya to muskurane lage

bhala ho waqt ka wo rasta bhatak gai thi
madad ke raste hum rasta banane lage

wo jis ko aap ne nayab panting kaha hai
mujhe to panch chhe rangon ke chaar khane lage

teri nazar ke badalne se waqt yun badla
mere hi faisle mere khilaf jaane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close