saron pe dhup to aankhon mein khwab patthar ke wo sang-dil the so utre azab patthar ke hawa-e-kucha-e-jaanan se haal pucha tha isi khata pe mile hain jawab patthar ke ye kaun sang-e-sifat paniyon mein utra hai uthe hain aab-e-rawan se habab patthar ke hawaen banjh zamin be-samar nazar viran ki ab ke barse hon jaise sahab patthar ke talash-e-manzil-e-jaanan mein rahne walon ko khuda mile bhi to khana-kharab patthar ke ye kaisa mausam-e-gul hai ye kaisa gulshan hai rawish rawish mein khile hain gulab patthar ke koi wahan gham-e-insan ki baat kya jaane 'safi' jahan pe hon izzat-maab patthar ke