yun hirasan hain musafir bastiyon ke darmiyan ho gai ho sham jaise jangalon ke darmiyan zindagi se ab yahi do-chaar pal ka sath hai paniyon se aa gaya hun daldalon ke darmiyan chaar jaanib phailte hi ja rahe hain regzar tishnagi hi tishnagi hai khwahishon ke darmiyan dekhte hi dekhte aapas mein dushman ho gae khun ka dariya rawan hai bhaiyon ke darmiyan ab to is ki zad mein hai sara nagar aaya hua wo bhi din the sail tha jab sahilon ke darmiyan adh-khuli aankhen hain 'khawar' aur sanson ka azab lash ki surat pada hun kargason ke darmiyan