sarsabz mausamon ka nasha bhi mere liye talwar ki tarah hai hawa bhi mere liye mere liye hain manzar-o-mani hazar rang lafzon ke darmiyan hai khala bhi mere liye shamil hun qafile mein magar sar mein dhund hai shayad hai koi rah juda bhi mere liye main khush hua ki muzhda safar ka mujhe mila phaila hua hai dasht-e-saza bhi mere liye dekhun main aaina to dhuan phail phail jae bolun to ajnabi hai sada bhi mere liye mere liye tamam aziyyat tamam qahr aur phul se labon pe dua bhi mere liye 'bani' ajab tarah se khuli khush-muqaddari barg-e-shafaq bhi barg-e-hina bhi mere liye