tilism-e-khwab se mera badan patthar nahin hota meri jab aankh khulti hai main bistar par nahin hota yaqin aata nahin to mujh ko ya mahtab ko dekho ki raat us ki bhi kat jati hai jis ka ghar nahin hota jidhar dekhun udhar hi dekhta rahta hun pahron tak mujhe atraf ka khali waraq azbar nahin hota khajuren aur pani le ke aage badhta jata hun magar ye koh-e-imkan hai ki mujh se sar nahin hota kam-az-kam mujh se duniya ko shikayat to nahin hogi main is jaisa hi ban jaun agar behtar nahin hota jawaz apna banata hun kisi nadida khitte mein jahan meri zarurat ho wahan aksar nahin hota bahata hun kahin apne sifal-e-be-murkkab ko main girye ke dinon mein chaak-e-duniya par nahin hota gila to khair kya hoga bas itna tum se kahna hai tumhaari umr mein koi sitam-parwar nahin hota to phir yun hai ki main ne us ko chaha hi nahin 'tabish' agar us ki shabahat ka guman mujh par nahin hota