sarsar chali wo garm ki sae bhi jal gae sahra mein aa ke yaron ke huliye badal gae jab rakh ho ke rah gaya wo shahr-e-gul-rukhan phir us taraf ko baadalon ke dal ke dal gae tan kar khada raha to koi samne na tha jab jhuk gaya to har kisi ke war chal gae kuchh dukh ki raushni thi badi tez aur kuchh ashkon ki barishon se bhi chehre ajal gae ek rang tha lahu ka jo ashkon mein aa gaya kuchh dil ke dard the so wo sheron mein dhal gae 'iqbaal' misl-e-mauj-e-hawa kab talak safar kya jaane kis taraf ko wo chahat ke yal gae