sarshaar hun sarshaar hai duniya mere aage kaunain hai ek larzish-e-sahba mere aage har najm hai ek aariz-e-raushan mere nazdik har zarra hai ek dida-e-bina mere aage har jam hai nazzara-e-kausar mere haq mein har gam hai gulgasht-e-musalla mere aage har phul hai lal-e-shakar-afshan ki hikayat har ghuncha hai ek harf-e-tamanna mere aage ek mazhaka hai pursish-e-uqba mere nazdik ek wahm hai andesha-e-farda mere aage hon kitni hi tarik shab-e-zist ki rahen ek nur sa rahta hai jhalakta mere aage main aur darun saulat-e-duniya-e-dani se khud larza-bar-andam hai duniya mere aage jhukta hai ba-sad ijz kalisa mere dar par aata hai larazta hua kaba mere aage paimane se jis waqt chhalak jati hai sahba lahraata hai ek husn ka dariya mere aage jab chand jhamakta hai mere saghar-e-zar mein chalta nahin khurshid ka dawa mere aage jab jhum ke mina ko uthata hun ghata mein hilta hai sar-e-gumbad-e-mina mere aage aati hai dulhan ban ke mashiyyat ki jilau mein aawargri-e-adam-o-hawwa mere aage paimane pe jis waqt jhukata hun surahi jhukta hai sar-e-alam-e-baala mere aage pahlu mein hai ek zohra-jabin hath mein saghar is waqt na duniya hai na uqba mere aage 'josh' uthti hai dushman ki nazar jab meri jaanib khulta hai mohabbat ka daricha mere aage