sayyaad dam-e-zulf se mujh ko riha kare wo din tamam umr na aae khuda kare le de ke rah gaya hai yahi ek aasra aisa kabhi na ho ki wo tark-e-wafa kare mujh be-nawa ke naz uthae wo naznin sultan aur kawish-e-qurb-e-gada kare daman-e-bu-e-kakul-e-shab rang chhod de ya rab kabhi ye zulm na baad-e-saba kare jis ke maraz pe sehat-e-alam nisar ho kis tarah wo mariz dua-e-shifa kare but jis pe multafit ho ba-hadd-e-supurdagi zindiq hai agar wo khuda se dua kare umr-e-daraaz o pukhtagi-e-fikr-e-nukta-sanj kahti hai kham kaam mujhe han kaha kare us ru-e-dil-nashin pe nigahen jami rahin fariyaad kar rahi hai basirat ki kya kare ab dam-e-husn-o-ishq se niklun na ta-ba marg ghar jal raha hai aql-e-rasa ka jala kare hikmat namak-haram hun be-shak tera magar jis par pade ye waqt wo bechaara kya kare ya rab hisar-e-najd se ab uth sake na 'josh' yunan de raha hai duhai diya kare