'sarshaar' kisi subh kisi sham na aaya is gardish-e-ayyam ko aaram na aaya aakar bhi tu ai saqi-e-gulfam na aaya aaya na idhar jam idhar jam na aaya jite-ji sad-afsos na aaya ye kisi kaam mar kar bhi to insan kisi kaam na aaya tu tark-e-talluq ko samajh husn-e-talluq kya kam hai ye paigham ki paigham na aaya