ab kahan jaen gham bhulane ko

ab kahan jaen gham bhulane ko
chhod kar tere aastane ko

khauf-e-duniya na fikr uqba ki
chal diya main sharab-khane ko

is fareb-e-ada ke hum sadqe
dil liya bhi to aazmane ko

chashm agar ho to mahw-e-zauq-e-nazar
dil agar ho to gham uthane ko

hum to barbaad ho gae phir bhi
lutf aaya na kuchh zamane ko

wada-e-wasl kar ke wo ruthe
'zabt' jate hain ab manane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close