sat dariyaon ka pani hai mere kuze mein

sat dariyaon ka pani hai mere kuze mein
band ek taza kahani hai mere kuze mein

tum use pani samajhte ho to samjho sahab
ye samundar ki nishani hai mere kuze mein

mere aaba ne jawani mein mujhe saunpa tha
mere aaba ki jawani hai mere kuze mein

dekhne walo nae naqsh milenge tum ko
sochne walo girani hai mere kuze mein

jaane kis khak se ye zarf hua hai tamir
jaane kis ghat ka pani hai mere kuze mein

aan ki aan guzarta hai zamana is par
waqt ki naql-e-makani hai mere kuze mein

chaaron samton mein koi shai bhi agar hai maujud
is ne wo la ke girani hai mere kuze mein

qarz hai mujh pe jo ek aks-e-tamanna 'azar'
us ne kya shakl banani hai mere kuze mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close