sat samundar par gaya wo jite ji hi mar gaya wo dana tha wo nadan the hum jite hain hum haar gaya wo sarhad ke is par raha main sarhad ke us par gaya wo suna suna aangan hai ab khushiyon ka sansar gaya wo diwana ban kar aaya tha ho kar kuchh hushiyar gaya wo apni kahta meri sunta chup sadhe kis par gaya wo 'imran' us ko jitna kab tha apna dil hi haar gaya wo