sath-e-pas-e-darun nae naqsh laiye mujh ko mere mizaj se behtar banaiye hukm-e-ghani se aae to hum aa chuke bahut lafzon pe iltimas ki khushbu lagaiye apni ana pe zulm na kije musafirin kah kyon rahe hain aap ki jate hain jaiye gham panchhiyo main aap ki umda khurak hun ai dushmano please mujhe noch khaiye bahr-e-umid-e-qurb main khud wasl ho chuka kitne hi ab firaq ke qisse sunaiye pathra chuka hai aap ke aane ka rasta palken bichhaiye ki ab aankhen bichhaiye