main ne rakkha hai jise aankh mein duniya kar ke mujh ko ek roz chala jaega tanha kar ke mere hone ka tasawwur hi mujhe de deta wo jo baitha hai meri zat pe qabza kar ke main ne socha hai use gift mein aankhen dunga us ne socha hai mujhe jaega andha kar ke zawiya us ka mera ek nahin ho sakta dekhta hai wo mujhe aaina tirchha kar ke is liye bhi main amiron ko nahin puchhunga aa to jaenge magar aaenge nakhra kar ke mera is mar chuke insan se rishta to nahin phir bhi behtar hai ki ghar jaun main tija kar ke main ki bad-kar tera dhyan nahin rakh pata tu ki rakh de hai meri zat munazzah kar ke us ne 'shaariq' se bahut dur basai duniya socha mar jaega is baat pe chinta kar ke