sath ghairon ke hai sada gaT-paT

sath ghairon ke hai sada gat-pat
ek hamin se rakhe hai dil mein kapat

changul-e-baz hain teri mizhgan
tair-e-dil ko pal mein le hai jhapat

teri is waz-e-dil-rubai se
ghar ke ghar ho gae hain chud-chapat

wo bhi din phir dikhaega allah
raat ko soe tu gale se lipat

pas jab ghair ko bithata hai
jae hai dil tere milap se hat

dete ho baat baat mein bazi
ek ho apne kaam ke nat-khat

naz ki tegh ghair par mat khinch
dil hamara kahin na jawe kat

jis tarah chand par ho abr-e-siyah
zulf yun mukhde par rahi hai ulat

id hai aaj aa gale mil len
dushmanon ki to jae chhati phat

gham mein tere hain ashk yun jari
har ghadi jis tarah chale hai rahat

ishq wo ghar hai jis ke shah-o-gada
ba-adab chumte rahe chaukhat

kulle-shai-in-muhit ki taqrir
khat se insan ke hue parghat

dil-e-bechaara ek tan-e-tanha
fauj-e-gham aae hai tamam simat

dost ki ho madad to yak dam mein
jae ye marka tamam palat

yan qadam rah par siwae na rakh
ai 'muhib' rah ishq ki hai bikat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close