kin sarabon ka muqaddar huin aankhen meri justuju kar ke jo patthar huin aankhen meri kuchh na tham paya hai is sail-e-rawan ke aage kaise ashkon ka samundar huin aankhen meri khun rone ke siwa kuchh nahin baqi in mein kaise aasuda-e-khanjar huin aankhen meri kabhi anwar ko mil pata nahin in mein farogh kya zamin chhod ke banjar huin aankhen meri tere irfan ki ye kaun si manzil hai khuda phir nae khakon ka mehwar huin aankhen meri roz ek hadsa is mein bhi sama jata hai jite-ji kaisa ye mahshar huin aankhen meri mit gae aks bhi yaadon ki tarah un mein 'taraaz' na-muradi ka wo manzar huin aankhen meri