sath le kar aae hain wo raushni aur chand phul

sath le kar aae hain wo raushni aur chand phul
munsalik baham hue hain zindagi aur chand phul

tazkira shamil raha un mein tumhaare husn ka
ras hum ko aa gae hain shaeri aur chand phul

kitna mani-khez hai ye rup qabristan ka
qabr se lipte hue hain khamushi aur chand phul

ek musalsal rog hai ye muntazir aankhon ka rog
yaad ke jangal mein chamke phir hansi aur chand phul

meri aankhon se tapak kar ashk patthar ban gae
tere lahje ki khanak hain chandni aur chand phul

ji ye chahe camere ki aankh mein mahfuz hon
khilkhilati dhup mein ye janwari aur chand phul

koi batlaega 'asif' is ki hai tabir kya
khwab mein dekhe hain aksar ek pari aur chand phul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close