sath manzil thi magar khauf-o-khatar aisa tha umr-bhar chalte rahe log safar aisa tha jab wo aae to main khush bhi hua sharminda bhi meri taqdir thi aisi mera ghar aisa tha hifz thin mujh ko bhi chehron ki kitaben kya kya dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha aag odhe tha magar bant raha tha saya dhup ke shahr mein ek tanha shajar aisa tha log khud apne charaghon ko bujha kar soe shahr mein tez hawaon ka asar aisa tha