dil hum ne jo chashm-e-but-e-bebak se bandha phir nashsha-e-sahba se na tiryak se bandha us zulf se jab rabt hua ji ko to hum ne shane ka tasawwur dil-e-sad-chaak se bandha dekha na qad-e-sarw ko phir hum ne chaman mein jis din se dil us qamat-e-chaalak se bandha jo aahu-e-dil bha gaya us sad-fagan ko jhap us ne use kakul-e-pechaak se bandha aur jo na pasand aaya use wo to 'nazir' aah ne said kiya us ko na fitrak se bandha