sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun surat-e-tarkib-e-mauzun misra-e-mohmal mein hun mujh sa rangin-taba hai tira-darunon mein kharab main sharab-e-arghawani hun magar botal mein hun gand-ha-e-na-tarashida hain hum sohbat meri in dinon to main bhi khushbu ki tarah sandal mein hun aadmi be-his-o-mas main surat-e-mardum giyah shahr mein hun main ilahi ya kisi jangal mein hun parda-dar-e-girya-e-be-ikhtiyari faqr hai barq hai abr-e-siyah mein aur main kammal mein hun hasil-e-neki hun nekon ko badon ko bad hun 'mehr' mera hi partaw anat mein hai main hi hanzal mein hun