sath un ke mere arman ka jaana thahra un ka aana tha meri jaan ka jaana thahra sath us ke jo kisi aur ko kar lun main sharik ek laghzish se hi iman ka jaana thahra khauf allah ka jis qalb ki zinat ho miyan aise dil mein kahan shaitan ka jaana thahra jab wali ne kiya inkar mahal jaane se un ke dar par bhi to sultan ka jaana thahra jis ki ima pe nikala gaya jannat se mujhe us ki marzi se hi insan ka jaana thahra sar pe gathri hai gunahon ki bhula kar 'mahshar' kaise kah dun ki badi shan ka jaana thahra