un ki aankhon ke jam kaghaz par mai-kashi ka payam kaghaz par us ne bheja salam kaghaz par ho raha hai kalam kaghaz par rup legi hasin imarat ka hai mohabbat jo kham kaghaz par titliyan us pe aa ke baith gain tera likkha jo nam kaghaz par bas labon ke nishan padhta hun khat ka mazmun tamam kaghaz par likh raha hai ghazal ko shahzadi ek adna ghulam kaghaz par us ki zulfon pe kuchh kaha jun-hi ho gai jaise sham kaghaz par