satwin manzil se kuda chahiye khud-kushi karne ko aur kya chahiye apne hathon apni aankhen phod kar chaar-su apne ko dekha chahiye aaine mein koi rahta hai zarur kaun hai chupke se puchha chahiye nind ke kamre mein dam ghutne laga khwab ki khidki ko khola chahiye 'faiz'-sahib sher kyun kahte nahin 'faiz'-sahib sher kahna chahiye tum se biwi ko shikayat ho agar to 'salim'-ahmad ko padhna chahiye aao 'alwi' us ke ghar ki battiyan bujh gain ab ghar ko chalna chahiye