hua khurshid ke dekhe se duna iztirab apna ki ye nikla sahar ko aur na nikla aaftab apna tere munh ke jo har dam ru-ba-ru aane ko kahta hai zara aaina le kar munh to dekhe aaftab apna na itna zulm kar ai chandni bahr-e-khuda chhup ja tujhe dekhe se yaad aata hai mujh ko mahtab apna khafa dekha hai us ko khwab mein dil sakht muztar hai khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-khwab apna sahar-asa ayan hote hi li rah-e-adam hum ne hua aana bhi aur jaana bhi aisa kuchh shitab apna 'nazir' is bahr mein fursat kam aur aish-o-tarab lakhon to phir ab haq-ba-jaanib hai kare kya kya hisab apna