sau bar tum to samne aa kar chale gae dhoka sa ek hum ko dikha kar chale gae ki hum se baghban ne ye kawish ki aakhirash hum aashiyan ko aag laga kar chale gae hone diya na mujh se tumhein sharm ne do-chaar jab mil gae to sar ko jhuka kar chale gae aata hua jo dur se dekha mujhe to we raste mein mujh se munh ko chhupa kar chale gae ab main hun aur wo zulf hai yaran-e-be-wafa dam-e-bala mein mujh ko phansa kar chale gae thokar se apne panw ke gulshan mein khush-qadan sad fitna-ha-e-khufta jaga kar chale gae hai ghair se bhi rabt tumhein main jo ye kaha saugand mere sar ki wo kha kar chale gae aae kabhi jo bagh mein diwangan-e-dasht aankhon se ju-e-khun baha kar chale gae hargiz raha na un ka nishan wo jo 'mushafi' qasr-o-mahl zamin pe bana kar chale gae