kya main bhi pareshani-e-khatir se qarin tha aankhen to kahin thin dil-e-gham-dida kahin tha kis raat nazar ki hai soi chashmak-e-anjum aankhon ke tale apne to wo mah-jabin tha aaya to sahi wo koi dam ke liye lekin honton pe mere jab nafas baz-pasin tha ab koft se hijran ki jahan tan pe rakha hath jo dard-o-alam tha so kahe tu ki wahin tha jaana nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahan mein kal mere tasarruf mein yahi qita-e-zamin tha nam aaj koi yan nahin leta hai unhon ka jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin tha masjid mein imam aaj hua aa ke wahan se kal tak to yahi 'mir' kharabaat-nashin tha