sauda tumhaare ishq ka jis din se sar mein hai sare-jahan ka dard hamare jigar mein hai marne ki aarzu bhi nikal jaegi kabhi aisa kahan ki bair dua-o-asar mein hai josh-e-junun ko kis liye sahra ki hai talash sar phodne ka lutf to diwar-o-dar mein hai har halqa-e-khayal hai taswir-e-ru-e-dost afsun-e-intizar ye kaisa nazar mein hai ai dil tawalat-e-shab-e-furqat ka kya gila nadan farq bhi koi sham-o-sahar mein hai is gardish-e-mudam se ghabraen kis liye ek halqa-e-junun hai jo daur-e-qamar mein hai sajdon ne farq-e-naqsh-e-qadam bhi mita diya aisa bhi ek maqam teri rahguzar mein hai dil de chuke hain jaan bhi ab de ke dekh len ek imtihan ye bhi hamari nazar mein hai kah do shamim ghuncha-e-taza-shagufta se bu-e-charagh-e-kusta bhi baad-e-sahar mein hai