safha-e-zist jab padhunga tumhein der tak chumta rahunga tumhein tum bhale dekhte raho sab ko main chhupa kar kahin rakhunga tumhein tum bane ho bane raho khushbu main kisi roz le udunga tumhein rag ho, dil ki dhadkanon ka rag samne baith kar sununga tumhein dekhna dekhte hue mujh ko kis tarah aankh mein bharunga tumhein jao chhupte phiro gurez karo ek din main bhi dekh lunga tumhein tum bahut dur ja chuke hoge main kahan dhundhta phirunga tumhein ek din ahmad-'ata' bhi khwab hua kah gaya khwab mein milunga tumhein