sawab hai ya kisi janam ka hisab koi chuka raha hun jo ghar ke aangan mein chintiyon ko main roz aata khila raha hun main raqs karta hua bagula jo dasht-e-jaan mein bhatka chuka hai ab apni sanson ki aandhiyon se bas apni mitti uda raha hun wo manzilen kya ye raste bhi mujhi ko le kar bhatak gae hain na chal raha hun na ruk raha hun na ja raha hun na aa raha hun qarib aati har ek shai ne mera nazriya badal diya hai main jis ke pichhe pada hua tha usi se pichha chhuda raha hun wo rabt-e-baham nahin hai lekin abhi bhi rishta bana hua hai wo mujh se duri badha raha hai main us se qurbat ghata raha hun mere hi apne muhib sae mujhi ko ghere khade hue hain kisi ko aankhen dikha raha hun kisi se aankhen chura raha hun main aaina hun to kaun hai ye aaina hai to kaun hun main inhin sawalon se tang aa kar main sab shabihen hata raha hun mujhe yaqin hai ise jala kar main apne sab dar mita sakunga so ek kapde mein rui bhar kar main apna putla bana raha hun