nikal pade hain sanam raat ke shiwale se kuchh aaj shahr-e-ghariban mein hain ujale se chalo palat bhi chalen apne mai-kade ki taraf ye aa gae kis andhere mein hum ujale se khuda kare ki bikhar jaen mere shanon par sanwar rahe hain ye baadal jo kale kale se buton ki khalwat-e-rangin mein bazm-e-anjum mein kahan kahan na gae hum tere hawale se junun ki wadi-e-azad mein talab kar lo nikal lo hamein sham-o-sahar ke haale se hayat-e-asr mujhe pher de mera mazi hasin tha wo andhera tere ujale se koi manae to kaise manae dil ko 'shamim' ye baat puchhiye ek ruth jaane wale se