sawad-e-sham se ta-subh-e-be-kinar gai tere liye to main har bar haar haar gai kahan ke khwab ki aankhon se tere lams ke baad hazar raat gai aur be-shumar gai main misl-e-mausam-e-gham tere jism o jaan mein rahi ki khud bikhar gai lekin tujhe nikhaar gai kamal-e-kam-nigahi hai ye e'tibar tera wahi nigah bahut thi jo dil ke par gai ajab sa silsila-e-na-rasai sath raha main sath rah ke bhi aksar use pukar gai khabar nahin ki ye puchhun to kis se puchhun main wahan talak main gai hun ki rahguzar gai