zanjir kat ke kya giri aadhe safar ke bich main sar pakad ke baith gaya rahguzar ke bich utra lahad mein khwahishon ke sath aadmi jaise musafiron-bhari naw bhanwar ke bich dushman se kya bachaengi ye jhadiyan mujhe bachte nahin yahan to payambar shajar ke bich jitna uda main utna ulajhta chala gaya ek tar-e-kam-numa tha mere baal-o-par ke bich dete ho dastaken yahan sar phodte ho wan kuchh farq to rawa rakho diwar-o-dar ke bich ghar se chala to ghar ki udasi sisak uthi main ne use bhi rakh liya rakht-e-safar ke bich thakne ke hum nahin the magar ab ke yun hua deta raha fareb sitara safar ke bich mera sabhi ke sath rawayya hai ek sa 'shahid' mujhe tamiz nahin khair o shar ke bich