sawal chhod ki haalat ye kyun banai hai use na sun jo kahani suni-sunai hai patanga shama pe marta hai kya burai hai use kisi ne bhi roka hai jis ki aai hai hanse hain gul na kali koi muskurai hai huzur kaise ye kah dun bahaar aai hai zarur koi alamat qaza ki pai hai mujhe azizon ne surat teri dikhai hai na jaane hijr ki raat aur meri siyah-bakhti kahan kahan ke andhere samet lai hai lahad se kab uthen dekho musafiran-e-adam safar hai dur ka raste mein nind aai hai asir kya kahen sayyaad ye to samjha de qafas mein bu-e-chaman puchhne ko aai hai mujhe na chhed qayamat hai meri aahon mein khuda rakhe teri mahfil saji-sajai hai