pani ka ajab taur tha pani se nikal kar sailab ki surat tha rawani se nikal kar sunne ko jo baithe hain unhen kaise bataun kirdar koi gum hai kahani se nikal kar kahni hai koi baat to kah sidhi zaban mein alfaz ke pur-pech maani se nikal kar zindani-e-ulfat hai kahan aaj zamana ye dekh kisi yaad purani se nikal kar takta raha tezi se badalte hue manzar phirta raha main yaad suhani se nikal kar bhar rakkha tha khush-bu ne mere sehn ko 'shahin' kone mein khili raat ki rani se nikal kar