sawal-e-sham pe aaya jawab-e-shab aakhir kashidgi ka na paya magar sabab aakhir tumhaare gham mere khwahan na mera apna wajud kahan se laungi main shiddat-e-talab aakhir inayat un ki jo wo haal puchh len warna kisi se un ke marasim hue hain kab aakhir mohabbaton ki riwayat to kaenat mein hai tumhaari aankh hai awwal na mere lab aakhir tumhaare nam sukhan aur tum nahin samjhe hamare sher hue hissa-e-adab aakhir nahin mila koi ye baat puchhne wala bana liya hai ye kya zindagi ka dhab aakhir uda jo tair-e-hasti to phir na thahrega 'nasim' kar to sahi koshish-e-tarab aakhir