takallufat mein lamhat mat ganwaya kar bila-irada bhi thoda sa muskuraya kar hamare samne ye waza mat banaya kar farakh-dil hai to har baat bhul jaya kar hamare sher tera zikr baat ek hi hai hamare sher hamein yaad mat dilaya kar tabiaton ki rawani na jaane kya dikhlae kisi ke zahiri ahwal par na jaya kar kisi ko ye lab-o-lahja bhala laga hai 'nasim' ghazal bhi tu isi andaz mein sunaya kar