sawal-e-wasl pe wo but nufur humse hua

sawal-e-wasl pe wo but nufur hum se hua
bada gunah dil-e-na-subur hum se hua

jo kuchh hua na tha rabb-e-ghafur hum se hua
kiye gunah bahut kam qusur hum se hua

firaq-e-yar mein han han zarur hum se hua
zarur sabr dil-e-na-subur hum se hua

jafa ke shikwe pe un ki wo nichi nichi nazar
wo hath bandh ke kahna qusur hum se hua

umid kahte hain kis ko yaqin hai zahid
gae bahisht mein hum ishq-e-hur hum se hua

khincha ba-surat-e-khanjar bana rag-e-gardan
wo jitna pas raha utni dur hum se hua

gunahgar na hote to afw kya hota
ilahi tere karam ka zuhur hum se hua

tumhaare galon pe kis din tha chaar chullu khun
shahid wo hain ki chehre pe nur hum se hua

ye kah rahe hain kisi ki nashili aankh ke tir
ki chashm-e-zakhm-e-jigar mein surur hum se hua

kahe to jaiye tark-e-butan ki ai waiz
huzur hum se ye hoga huzur hum se hua

hamin to todte hain jam mohtasib sach hai
kisi ka shisha-e-dil chur-chur hum se hua

khata muaf ye ji mein hai le ke bosa-e-zulf
tumhin se arz karenge qusur hum se hua

haya mein shokhi sikhai tumhein karam mein sitam
nigah mein naz ada mein ghurur hum se hua

sharab pi hai ba-yaad-e-rukh-e-malih-e-butan
ye aab rashk-e-sharab-e-tahur hum se hua

saliqa hum ne bataya sitamgari ka tumhein
tamiz hum ne sikhai shuur hum se hua

nikal lae buton ko hazar pardon se
jahan mein aam tamasha-e-tur hum se hua

kamal ye hai ki insan bane wo but 'rasikh'
ye mana rashk-e-pari rashk-e-hur hum se hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close