subu se kaam hai botal se kaam jam se kaam

subu se kaam hai botal se kaam jam se kaam
wo rind hum hain ki rakhte hain apne kaam se kaam

na len wo bande se khidmat na len ghulam se kaam
ki bandagi se gharaz hai mujhe salam se kaam

kiya hai qat-e-talluq to kyon bulate ho
tumhein gharaz tumhein matlab tumhein ghulam se kaam

hamare phul pas-e-qatl ghair ko dena
tumhein to nam se matlab hai dhum-dham se kaam

tamam din hamein dil ki tasalliyon se gharaz
tamam shab hamein nalon ki rok-tham se kaam

kisi ka naz se kahna wo yaad hai shab-e-wasl
koi jiye ki mare un ko apne kaam se kaam

ada-e-khas se matlab tumhaare ghamze ko
tumhaare khanjar-e-abru ko qatl-e-am se kaam

natija-e-kashish-e-yar naza-e-jaan nikla
tamam ho hi gaya jazb-e-na-tamam se kaam

banaw mein rukh-o-gesu ke rahte ho shab-o-roz
wo kaam subh se tum ko ye tum ko sham se kaam

nikalo ghar se na banda bana ke 'rasikh' ko
padega ek na ek din isi ghulam se kaam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close