sawal gunj ke chup hain jawab aae nahin jo aane wale the wo inqalab aae nahin ye kya hazar ki safar ki zaruraten hi na hon ye kya safar ki kahin par sarab aae nahin wo ek nind ki jo shart thi adhuri rahi hamari jagti aankhon mein khwab aae nahin dua karo ki khizan mein hi chand phul khilen ki ab ke mausam-e-gul mein gulab aae nahin mujhe to aaj ke karb o bala se fursat kab tum un ki chap suno jo azab aae nahin