safar se kis ko mafar hai lekin ye kya ki bas reg-zar aaen kahin koi saeban bhi de ki gard-e-wahshat utar aaen ye khushk-sali ki muddaton se chaman mein aa kar pisar gai hai kabhi to nakhl-e-murad jhume kahin to kuchh barg-o-bar aaen zamin ki gul-posh bhi rahi aur falak pe qaus-e-quzah bhi jhumi maze maze ki wo saaten thin chalo ye din bhi guzar aaen idhar ye dil hai ki us ko bas ek junun ki dhun hai junun ki dhun hai udhar hamara ye azm-e-paiham ki zulf-e-giti sanwar aaen ye sun ke dekhen ki koi apnon ko kaise aakhir pukarta hai chalo ki apna hi nam 'rashid' kisi kuen mein pukar aaen