sawal ko tarz-e-munfarid se utha raha hun agar main sab se juda raha hun to kya raha hun ajib harakat hai zindagi ke jumud mein bhi pada hun bistar pe aur lagta hai ja raha hun kisi ne dekha nahin hai jis ko wo khwab dekha jise sunaya nahin gaya hai suna raha hun ye zindagi hai agar udhar bhi jo hai idhar bhi ho ilm kaise main ja raha hun ki aa raha hun kisi ne chalne ka kah diya to nahin ruka main agar kisi ne kaha ki ruk ja khada raha hun chabae jate hain ek duje ko dard aur main ye mujh ko andar main us ko bahar se kha raha hun